Saturday, May 26, 2007

zindagi ka safar hai aisa

zindagi ka safar hai aisa
hai har pal ek moti
jise jode hai yaadon ka dhaaga

peechhe dekho to phool
neechhe dekho to kaante
khilein hain woh phool
kaanto ko pilaakar khoon
jo hai mahek is phool ki
bas hai baasi badboo paseene ki

beete kal ki yaadein
aanewaale kal ke sapne
zindagi ka safar hai aisa